Kisi apne ke dunya se chale jane ka gham bahut bada hota hai. Aise waqt mein Islam hamein sabr, dua aur marhoom ke liye neki ka raasta dikhata hai. Is post mein mayyat ke liye dua, inteqal ki khabar par parhi jane wali dua, Janaza ki dua aur qabristan ki dua, sab sahih hawalon ke saath jama ki gayi hain.
🕋 Qilaj Islamic Activity Center
Sirf 1 minute: Qurani Hal, Tasbih ya Islamic Quiz start karein
آپ کی پریشانی کیا ہے؟
📿 33 Tasbih Challenge
33 bar SubhanAllah complete karein
🧠 Islamic Quiz Challenge
1. Inteqal ki Khabar Sun kar
إِنَّا لِلّٰهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُوْنَ، اَللّٰهُمَّ أْجُرْنِيْ فِيْ مُصِيْبَتِيْ وَأَخْلِفْ لِيْ خَيْرًا مِّنْهَا
Inna lillahi wa inna ilaihi raji’oon. Allahumma’jurni fi museebati wa akhlif li khairam minha.
Tarjuma: Beshak hum Allah hi ke hain aur usi ki taraf lautne wale hain. Aye Allah! Mujhe meri museebat mein ajr de aur mujhe is se behtar badla ata farma.
Hawala: Hazrat Umm-e-Salamah رضی اللہ عنہا farmati hain ke maine Nabi ﷺ ko farmate suna ke jis Musalman par museebat aaye aur woh yeh kalimaat kahe, Allah use is se behtar ata farmata hai. Jab Hazrat Abu Salamah ka inteqal hua to maine yahi kaha, aur Allah ne mujhe un se behtar, yani Rasoolullah ﷺ ata farmaye (Sahih Muslim 918). Quran mein bhi sabr karne walon ke liye yahi kalimaat bataye gaye (Surah Al-Baqarah 2:156).
2. Aankhein Band Karte Waqt
Nabi ﷺ ne Hazrat Abu Salamah رضی اللہ عنہ ki aankhein band kin aur farmaya ke ghar wale achhi baat kahein kyun ke farishte aameen kehte hain, phir yeh dua ki: “Allahummaghfir li (naam) warfa’ darajatahu fil-mahdiyyeen, wakhlufhu fi ‘aqibihi fil-ghabireen, waghfir lana wa lahu ya Rabbal-‘alameen, wafsah lahu fi qabrihi wa nawwir lahu feeh.” (Sahih Muslim 920) — “(naam)” ki jagah marhoom ka naam lein.
3. Mayyat ke liye Maghfirat ki Dua (Namaz-e-Janaza mein bhi)
اَللّٰهُمَّ اغْفِرْ لَهٗ وَارْحَمْهُ، وَعَافِهٖ وَاعْفُ عَنْهُ، وَأَكْرِمْ نُزُلَهٗ، وَوَسِّعْ مُدْخَلَهٗ، وَاغْسِلْهُ بِالْمَاءِ وَالثَّلْجِ وَالْبَرَدِ، وَنَقِّهٖ مِنَ الْخَطَايَا كَمَا نَقَّيْتَ الثَّوْبَ الْأَبْيَضَ مِنَ الدَّنَسِ
Allahummaghfir lahu warhamhu, wa ‘afihi wa’fu ‘anhu, wa akrim nuzulahu, wa wassi’ mudkhalahu, waghsilhu bil-ma’i wath-thalji wal-barad, wa naqqihi minal-khataya kama naqqaytas-thawbal-abyada minad-danas.
Tarjuma: Aye Allah! Ise bakhsh de, is par reham farma, ise aafiyat de, ise maaf farma, is ki mehmani izzat wali kar, is ki qabar kushada kar, ise paani, barf aur olon se dho de, aur ise gunahon se aise paak kar jaise safed kapda mail se saaf kiya jata hai.
Hawala: Hazrat Auf bin Malik رضی اللہ عنہ farmate hain ke Nabi ﷺ ne ek janaze par yeh dua parhi (Sahih Muslim 963). Aurat ke liye “lahu” ki jagah “laha” kahein. Namaz-e-Janaza ka mukammal tareeqa: Namaz-e-Janaza ka Tarika.
4. Qabristan Jane ki Dua
اَلسَّلَامُ عَلَيْكُمْ أَهْلَ الدِّيَارِ مِنَ الْمُؤْمِنِيْنَ وَالْمُسْلِمِيْنَ، وَإِنَّا إِنْ شَاءَ اللّٰهُ بِكُمْ لَلَاحِقُوْنَ، أَسْأَلُ اللّٰهَ لَنَا وَلَكُمُ الْعَافِيَةَ
Assalamu ‘alaikum ahlad-diyari minal-mu’mineena wal-muslimeen, wa inna in sha Allahu bikum lalahiqoon, as’alullaha lana wa lakumul-‘afiyah.
Tarjuma: Aye in gharon ke rehne wale momino aur Musalmano! Tum par salamati ho, aur hum bhi In sha Allah tum se milne wale hain. Main Allah se apne aur tumhare liye aafiyat maangta hoon. (Sahih Muslim 975)
5. Dafan ke Baad
Nabi ﷺ dafan se faarigh ho kar qabar par thehrte aur farmate: “Apne bhai ke liye maghfirat maango aur us ke liye saabit qadmi ki dua karo, kyun ke ab us se sawal kiya ja raha hai.” (Sunan Abi Dawood 3221). Is waqt “Allahummaghfir lahu, Allahumma thabbit-hu” kehna sunnat hai.
Marhoom ke liye Kya Kaam Aata Hai?
- Dua aur istighfar — Quran mein momino ki dua: “Rabbanagh-fir lana wa li-ikhwaninal-lazeena sabaqoona bil-iman” (Surah Al-Hashr 59:10).
- Sadqa — Hazrat Sa’d bin Ubadah رضی اللہ عنہ ne walida ki taraf se baagh sadqa kiya aur Nabi ﷺ ne ise qubool hone ki khushkhabri di (Sahih Bukhari 2756).
- Qarz ada karna aur marhoom ki jaiz wasiyat poori karna.
- Neik aulaad ki dua — insaan ke amal mein se teen cheezein baaqi rehti hain: sadqa-e-jariya, faida dene wala ilm, aur neik aulaad jo us ke liye dua kare (Sahih Muslim 1631).
FAQs
Inteqal par sab se pehle kya kahein?
“Inna lillahi wa inna ilaihi raji’oon” aur “Allahumma’jurni fi museebati wa akhlif li khairam minha” (Sahih Muslim 918).
Aurat ke liye dua mein kya badlein?
“Lahu” ki jagah “laha” aur “hu” ki jagah “ha” kahein.
Kya ghar baithe mayyat ke liye dua kar sakte hain?
Ji haan, dua kahin se bhi ki ja sakti hai aur marhoom ko faida pahunchti hai.









